People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 6 *

Ye Gathri Taaj Ki Tarah-1
Singer: M.F.Hussain
Lyricist: M.F.Hussain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Yeh-Gathri-Taj-Ki
chalte chalte gathri ne kaha
mai dunia hun ise bandhe rakho

aurat ne kaha meri pahchan
naak naksha chehra nahi
meri pahchan pair tale dabi
ek ghunghru ki awaz
ek ghunghru ki awaz
ek ghunghru ki awaz

ghunghru ghunghru ne kaha
mai khamosh kadam ki aahat hu
kaan dharo to sun pao
kaan dharo to sun pao

ye gathri taaz ke tarah us aurat ke sar
ye gathri taaz ke tarah us aurat ke sar
jise dunia ne abhi pahchana nahi
jise dunia ne abhi pahchana nahi
pahchana nahi pahchana nahi
pahchana nahi pahchana nahi
Hamara Hansa Gayla Videshva
Lyricist: Maya Govind
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Hamra-Hansa-Gaya-
hamara hansa gayla videshva
kab aaye bhaavuk bandhu re
hamara hansa gayla videshva
kab aaye bhavuk bandhu re
sona pankhi hansa mero
jiya more laiy ke re
jane kaun deshva gaila
dhokha humein daiy ke re
sona pankhi mero hansa re
sona pankhi mero hansa re

hansa re hanse o more hansa
hansa re hanse o more hansa
kaisi ratiyan kaatun re hey
ari o ri chand ko samjhun
tohri chhittiyan hansa
o main to banchhu re
ho gaylo piya videsva
kab aaye bhavuk bandhu re
o hamara hansa gayla videshva
kab aaye bhavuk bandhu re
o hamara hansa gayla videshva
kab aaye bhavuk bandhu re

hurr hurr hurr hurr hurr hurr
o sun yeh kabutar
tu lai ja sandesa maar
hurr hurr hurr hurr hurr hurr
milai de sajan se
tohai hai bada upkar
bataiyo piya se machli si
tadape jee marat tore naar re
na khave na peeve
na sove na jage
bahawat asuan dhaar

hansa re hanse o more hansa
ho hansa re hansa birha agan mein
sulgi tan man mora re hey
arre o re rang chandni
jaisa mora hansa koyla hoyega re
ho gaylo piya videsva
kab aaye bhavuk bandhu re
o hamara hansa gayla videshva
kab aaye bhavuk bandhu re

sona pankhi hansa mero
jiya more laiy ke re hey
jane kaun deshva gaila
dhokha humein daiy ke re
sona pankhi mero hansa re
sona pankhi mero hansa re
sona pankhi mero hansa re
kab aaye bhavuk bandhu re
Mere Payal Bole Cham Cham
Lyricist: Maya Govind
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Meri-Payal-Bole/C
meri payal bole chham chham chham chham
lo ankho ne chhedi hai sargam
meri chaho ke sanam sanam sanam
tu aisa ke jaise hai shabnam
chhuna tujhe mushkil
pana tujhe mushkil priyam priyam

meri payal bole chham chham chham chham
lo ankho ne chhedi hai sargam
dil tera ho gaya tu kahan kho gaya
dil tera ho gaya tu kahan kho gaya

badal badal jayenge milke tujhse ayenge
prit ka git sunayenge
dhadkan dhadkan gayenge pritam
tere liye tod diye maine piya duniya ke niyam niyam
tere liye kitni hi bar liya dharti pe janam janam
meri payal bole chham chham chham chham
lo ankho ne chhedi hai sargam
meri chaho ke sanam sanam sanam
tu aisa ke jaise hai shabnam
Do Sadiyon Ke Sangam
Lyricist: Javed Akhtar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Do-Sadiyon-Ke-San
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain

ek sadi ki sham jahan par
ek sadi ka wahi savera
samay na dale kahi bhi dera
ek samay lekin do sadiya do sadiya
ek samay lekin do sadiya do sadiya

do sadiyo ke bich uthi do sadiyo ke bich uthi
ehsas kee ek divar ehsas kee ek divar
is divar ke pichhe jake is divar ke pichhe jake
bhesh badalta ye samay bhesh badalta ye samay
kya karta hai shringar
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain

ek sadi ki sham jahan par
ek sadi ka wahi savera
samay na dale kahi bhi dera
ek samay lekin do sadiya do sadiya
ek samay lekin do sadiya do sadiya

nile rang ke iss davan me
kitne sukun bhare lamhe hai
nile nile rang me ruh ke sare git ghule hain
surkhi jaise garam lahu hai chhalak sharab hai surkhi
surkhi taja jakhm jaise khilta gulab hai surkhi
jism me behtee sarkhi surkhi ruh ke sare nile nagme

do sadiyo ke sangam par milne aaye hain
do sadiyo ke sangam par milne aaye hain
ek sadi ki sham jahan par
ek sadi ka wahi savera
samay na dale kahi bhi dera
ek samay lekin do sadiya do sadiya
ek samay lekin do sadiya do sadiya
Gaja Gamini
Lyricist: Maya Govind
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Gaja-Gamini/AB4zS
gaja gamini priya tu hai
man mohini chanchal si komal si

tu hi to hai gagan tu hi hai dharti
tu hi to hai gagan tu hi hai dharti
ang ang teri kamai tarishti
ang ang teri kamai tarishti
tu hi bhor tu hi yamini

gaja gamini priya tu hai
man mohini chanchal si komal si

tu hai meera ki diwani
tu hai radha ki kahani
tu hai shakti ki mahima
tu hai bhakti ki garima

ye rup tumhare hazar rango wale
tu aise rachi hai jaise kamdev bahare
tu hi yog tu hi yogini
tu hi bhor tu hi yamini
gaja gamini priya tu hai
man mohini chanchal si komal si
Ye Gathri Taaj Ki Tarah
Lyricist: M.F.Hussain
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Gaja-Gamini/Yeh-Gathri-Taj-Ki
chalte chalte gathri ne kaha
mai dunia hu isi bandhe rakho

aurat ne kaha meri pahchan
nak naksha chehra nahi
meri pahchan pair tale dabi
ek ghunghru ki awaz
ek ghunghru ki awaz
ek ghunghru ki awaz

ghunghru ghunghru ne kaha
mai khamosh kadam ki aahat hu
kan dharo to sun pao
kan dharo to sun pao

ye gathri taz ke tarah us aurat ke sar
ye gathri taz ke tarah us aurat ke sar
jise dunia ne abhi pahchana nahi
jise dunia ne abhi pahchana nahi
pahchana nahi
pahchana nahi
pahchana nahi
pahchana nahi